18/10/2026
Logon ko freelancing seekhni hai, lekin mehnat koi aur kare!
Ji haan, aap ne bilkul sahi parha.
Log mere paas aate hain aur kehte hain:
"Humein online kaam sikha dein."
Main unhein batati hoon ke main koi mentor nahi hoon, main khud ek freelancer hoon. Aap kisi achay mentor se seekhein ya kisi achay institute se course karein.
Lekin asal masla course ke baad shuru hota hai.
Course complete karne ke baad woh dobara mere paas aate hain aur kehte hain:
"Ab paisay kaise kamayein?"
"Ab clients kahan se milenge?"
"Aap ne kaha tha yeh kaam karo, woh kaam karo. Ab humein clients bhi aap hi dein."
Jab main unse poochti hoon ke aap ne course mein kya seekha hai, toh aksar unhein basic cheezon ka bhi sahi se pata nahi hota.
Aakhir aisa kyun hota hai?
Kyun ke unhein lagta hai ke skill seekhne ke baad clients dhoondhna bhi meri responsibility hai.
Unhein lagta hai ke main din raat baith kar sirf unke liye clients dhoond rahi hoon.
Lekin haqeeqat yeh hai ke main ne apne kaam ko yahan tak pohanchane ke liye rozana 15 ghantay tak mehnat ki hai.
Main ne apni skill par kaam kiya, clients dhoonde, proposals bheje, rejection face ki, apni mistakes se seekha aur khud ko behtar banaya.
Aur aaj bhi mehnat jaari hai.
Lekin log meri success toh dekhte hain, uske peechay ki mehnat nahi.
Unhein lagta hai ke agar main yeh kaam kar sakti hoon, toh main unhein bhi clients la kar de sakti hoon.
Lekin woh yeh nahi sochte ke agar main ne apne liye raasta banaya hai, toh unhein bhi apna raasta khud banana hoga.
Main aapko sahi direction de sakti hoon.
Aapko achay mentor ya institute ka bata sakti hoon.
Apne experience se aapki guidance kar sakti hoon.
Lekin main aapki jagah mehnat nahi kar sakti.
Course karna sirf pehla step hai, manzil nahi.
Uske baad aapko practice karni hai, apna portfolio banana hai, clients dhoondhna seekhna hai, proposals bhejne hain aur rejection ke bawajood koshish jaari rakhni hai.
Freelancing koi jaadu nahi hai ke aaj course kiya aur kal se paisay aana shuru ho jayenge.
Yeh ek skill hai, ek business hai, jise build karne ke liye time, patience aur consistency chahiye.
Aur hamare muashray ka ek bara masla yeh hai ke bohat se log results toh chahte hain, lekin un results ke liye mehnat nahi karna chahte.
Sab ko plate mein khana chahiye, lekin koi khud khana banane ki zehmat nahi karna chahta.
Main ne apni skill aur business ko build karne ke liye rozana 15 ghantay tak diye hain.
Toh phir aap kyun samajhte hain ke aap bina mehnat kiye wohi results hasil kar lenge?
Clients maangne ke bajaye khud ko is qabil banayein ke clients aapko hire karna chahein.
Yaad rakhein, koi course aapko raaton raat successful nahi bana sakta.
Aapki skill, aapki mehnat aur aapki consistency hi aapko aagay le kar jayegi.
Ab ek sawal:
Aap freelancing seekhna chahte hain ya waqai freelancer banna chahte hain?
Kyun ke in dono cheezon mein bohat farq hai.